Dhadkano ki sadayen bhi ab sunai nahi deti..
Apne saye ke saath chalne ka ehsas nahi hota..
Aaj na jane hawao me ek ajab sansani si hai…
Ab to lagta hai ki Rooh bhi meri ajnabi si hai…
Dard ki aahat har waqt badh rahi h..
Ab hame phulon me bhi kaante hi dikhte hai…
Kuch soch ke dil ghabrata hai..
Hame to haste chehre bhi rote se dikhte hai..
Na jane kyon in aakhon me ek nami si hai..
Ab to lagta hai ki Rooh bhi meri ajnabi si hai…
Chand hai ki falak pe dikhta hai nahi..
Or ham andheron ki aagosh me simatte jar he hai..
Kahin se ek kiran to aaye..
Magar aaj to ye sitare bhi aasma se mit-te ja rahe hai..
Aaj to bijliyon ki chamak in badalon me dabi dabi si hai..
Ab to lagta hai ki Rooh bhi meri ajnabi si hai…
Ye gahri khamoshi kyon hai in raahon me..
Har waqt khof sa mahsoos hota hai..
Is kali raat hi hawaye bhi itni sard hai aaj..
Ki har lamha maut sa mahsoos hota hai..
In sannaton me bhi ek ajab khalbali si hai..
Ab to lagta hai ki Rooh bhi meri ajnabi si hai…

er.. sowie to ask bt wt dus 'rooh' mean..?
ReplyDeletekar diya na popat..rooh means soul...
ReplyDeletekhub bhalo !maja aa gaya yaar.kabhi hum pe bhi likh do.
ReplyDeletehey poet n my dear bro..words r d most powerful thoughts...keep expressing
ReplyDeleteIts amazing!!!!!!!!!
ReplyDeletereally gud....lagta hai Xam ke ed din pehle ke apne feelings ko express kar rahe hain.....
Awsome!!! can feel the pain thru each word and each line.
ReplyDelete