Wednesday, September 8, 2010

kab se khayalon me hai jo..

Hame to ghera hai andheron ne..
Bas ek roshni ki talash h..
Kab se khayalon me hai jo ..
Us se milne ki aas h..

Jal-Jal ke jo bujhe..
Na jane ye jalan hai ya pyaas hai..
Aankhon me hai jo chehra ..
Na jane wo door hai ya paas hai…
Kab se khayalon me hai jo ..
Us se milne ki aas h..

Mar-Mar ke ji uthta hu aaj..
Yeh maut hai ya saans hai..
Jiske dedaar ki hai chahat..
Wo hakikat hai ya phir ek ehsas hai..
Kab se khayalon me hai jo ..
Us se milne ki aas h..

Ji karta hai bheeg jane ko aaj…
Ye jo unke noor ki barsaat hai..
Jo waqt guzreunki yaad me.
Pal wo dard-de khaas hai..
Kab se khayalon me hai jo ..
Us se milne ki aas h..

Apni khabar se bhi darte h..


 Khamoshiyon se bhi  ham baatein krte hai..

Na ane ham kab sote or kab jagte hai..

Khoja karti hai aaj hame fizayen bhi

Aur ham apni khabar se bhi darte h.
.

E kash koi mila de hame unse

Din-Raat ham ye sajde krte h..

Har khawahish har Dua unke liye hai..

Par na jane  kyon khafa-khafa se rahte hai..

Ham to ab har raat shama bhujaye rakhte h..

Khoja karti hai aaj hame fizayen bhi

Aur ham apni khabar se bhi darte h..



E-waqt tu thaharta kyon nahi..

Ye fasle bhi simatte hai nai..

Ham aag se apni pyaas bhujate rahte h..

Ab to har aahat unke aane ka ehsas dilaya krte h…

Khoja karti hai aaj hame fizayen bhi

Aur ham apni khabar se bhi darte h..



May-khano ka hame koi shock nai..

Par ham pine ke bahane kiya krte hai..

Nasha ab ham sharab se nahi…

Unki aakhon se kiya krte hai…

Khoja karti hai aaj hame fizayen bhi

Aur ham apni khabar se bhi darte h..

Unki  yaaden hame sone nahi deti..

 Ham to bas nind ke bahane kiya krte hai…

Hame log kahte hai pagal..

Or  ham bekhabar to bas unki yaadon se hi baatein kiya krte h…

Barish aur teri Yaad..



Barish ki bunde bhi aaj shama jalayengi…
Har saans  me meri aarzoo badhti jayegi..
Kuch soch ke meri aankhen nam si ho jati h..
Uuf ye barish kyon teri yaad de jati h..

Thandi hawaye teri khusbo ho saang lati h.
Jidhar dekhu bas tu hi nazar aati h..
In barishon me tere saath hone sa mahsoos krta hoon..
Har waqt ab main barish ka intezar krta hoon..
Ye bunde kuch metha ehsas de karati h..
Uuf ye barish kyon teri yaad de jati h..

In badalon me teri halki si tasveer nazar aati h..
Bijliya kyon teri muskan ki yaad dila jati h…
Ye badalon ke bich se aati kirne bhi..
Tere chehare ki lali sang lati h….
Ye barsaat tere saath hone ka ehsas karati h..
Uuf ye barish kyon teri yaad de jati h..

Kal guzri thi  barish tere  haatho me haath thame..
Ab to har sawan kuch dard de jati h..
Har barishon me main sukoon sa mahsoos krta hu..
Na pucho kyon main har barsaat me kyon bheega krta hoon…
Kuch soch ke meri aankhen nam si ho jati h..
Uuf ye barish kyon teri yaad de jati h..

ROOH MERI AJNABI..

Dhadkano ki sadayen bhi ab sunai nahi deti..
Apne saye ke saath chalne ka ehsas nahi hota..
Aaj na jane hawao me ek ajab sansani si hai…
Ab to lagta hai ki Rooh bhi meri ajnabi si hai…


Dard ki aahat har waqt badh rahi h..
Ab hame phulon me bhi kaante hi dikhte hai…
Kuch soch ke dil ghabrata hai..
Hame to haste chehre bhi rote se dikhte hai..
Na jane kyon in aakhon me ek nami si hai..
Ab to lagta hai ki Rooh bhi meri ajnabi si hai…


Chand hai ki falak pe dikhta hai nahi..
Or ham andheron ki aagosh me simatte jar he hai..
Kahin se ek kiran to aaye..
Magar aaj to ye sitare bhi aasma se mit-te ja rahe hai..
Aaj to bijliyon ki chamak in badalon me dabi dabi si hai..
Ab to lagta hai ki Rooh bhi meri ajnabi si hai…


Ye gahri khamoshi kyon hai in raahon me..
Har waqt khof sa mahsoos hota hai..
Is kali raat hi hawaye bhi itni sard hai aaj..
Ki har lamha maut sa mahsoos hota hai..
In sannaton me bhi ek ajab khalbali si hai..
Ab to lagta hai ki Rooh bhi meri ajnabi si hai…

Monday, September 6, 2010

"EK PARI AAYI"...

YE US RAAT KI BAAT HAI….
AANKHEN MUNDE YUHI KUCH SOCH RAHA THA MAIN..
TABHI MERA NAAM LETI EK HAKLI SI AAWAZ AAYI…
DEKHA MUD KE MAIN PICHE TO…
CHANDNI KI ROSHNI ME NAHAE “EK PARI AAYI”…

AANKHEN USKI JAISE, SAGAR KI GEHRAI LIYE..
BIKHRI JULFHEN USKI JAISE,BADALON KI MADMAST ANGRAI LIYE…
HANSI USKI SUN KE VIRANE ME BHI EK BAHAR AAYI…
CHANDNI KI ROSHNI ME NAHAE “EK PARI AAYI”…

TAZGI USKI ,KALIYON KO SHARMINDA KIYE..
GORI-GORI BAAHEN JAISE, SITARON KI CHAMAK HO MADHAYAM KIYE…
HALKE DABE KADMON SE CHALKE WO MERE PAAS AAYI…
CHANDNI KI ROSHNI ME NAHAE “EK PARI AAYI”…

LABON PE KHILTI USKI MUKAN JAISE MOTIYON KI BARISH KARATI..
NAZAREN NA JANE USKI PAGAL YA DEEWANA BANATI…
KANGAN KHANKA KE…
WO KUCH YU SHARMAI…
CHANDNI KI ROSHNI ME NAHAE “EK PARI AAYI”…

ITRATE HUE USNE,MERE HAATHON KO CHUA THA ..
MUSKURA KE KUCH DOOR SAATH CHALE KO KAHA THA...
HAATHON ME HAATH DALE WO MERE SATH KUCH YU CHALI THI…
USKI HAR ADA MASOOMIYAT SE BHARI THI..
USKI SHARBATI NIGAHON SE ,EK MADHOSHI THI CHAYI…
CHANDNI KI ROSHNI ME NAHAE “EK PARI AAYI”…

SUBAH KI PAHLI KIRAN KE AATE HI , JAB WO JANE LAGI…
DIL KI TADAP,AAKHON SE BARSAAT KARANE LAGI…
“MAIN PHIR MILNE AAUNGE”..JATE HUE USNE KAHA..
THAM JATA WAQT KAASH…JAB KAHA USNE ALVIDA…
AB TO HAR PAL MERE KHAYALON ME USKI TASVEER NAZAR AATI HAI….
HAR LAMHA USKI MITHI SI YAAD DE JATI HAI…
SATRANGI AACHAL LAHRAE…MERE KHAWBON KE PANKH LAGAE…
WO KUCH AISE AAYI…..
CHANDNI KI ROSHNI ME NAHAE “EK PARI AAYI”…